ek dhoka hai KHush nahin hun main
ek dhoka hai ḳhush nahīñ huuñ maiñ
kaun kahtā hai ḳhush nahīñ huuñ maiñ
ek rishta bachānā hai jis meñ
vo bhī tanhā hai ḳhush nahīñ huuñ maiñ
kyā sabab hai ki sirf mere ba-juz
sab ko lagtā hai ḳhush nahīñ huuñ maiñ
ḳhush-mizājī meñ shā'irī kaisī
phir to achchhā hai ḳhush nahīñ huuñ maiñ
kyā sitam hai ki tum ko pā kar bhī
aisā lagtā hai ḳhush nahīñ huuñ maiñ
yaar aise haiñ kyā kahūñ tum se
yaar aisā hai ḳhush nahīñ huuñ maiñ
ek dhoka hai KHush nahin hun main
kaun kahta hai KHush nahin hun main
ek rishta bachana hai jis mein
wo bhi tanha hai KHush nahin hun main
kya sabab hai ki sirf mere ba-juz
sab ko lagta hai KHush nahin hun main
KHush-mizaji mein sha'iri kaisi
phir to achchha hai KHush nahin hun main
kya sitam hai ki tum ko pa kar bhi
aisa lagta hai KHush nahin hun main
yar aise hain kya kahun tum se
yar aisa hai KHush nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.