ek dhundle se naqsh-e-pa ke siwa
ek dhuñdle se naqsh-e-pā ke sivā
paas kuchh bhī nahīñ vafā ke sivā
tum zamāne se vāsta rakkho
merā koī nahīñ ḳhudā ke sivā
aaj tak maiñ ne kuchh nahīñ māñgā
ik dil-e-dard-āshnā ke sivā
aap sab ko gale lagā leñge
haañ magar merī iltijā ke sivā
mere hoñToñ pe kuchh nahīñ yā-rab
ik yahī harf-e-iltijā ke sivā
ab to lagtā hai tujh se milne kā
rāsta kuchh nahīñ duā ke sivā
ye bhī sach hai ki ham ġharīboñ kī
koī daulat nahīñ anā ke sivā
merī mahrūmiyoñ ne jaanā hai
zindagī kuchh nahīñ sazā ke sivā
arsh ko koī chhū nahīñ saktā
sirf mazlūm kī sadā ke sivā
'tāj' maiñ ne jahān-e-hastī meñ
kuchh bhī sīkhā nahīñ vafā ke sivā
ek dhundle se naqsh-e-pa ke siwa
pas kuchh bhi nahin wafa ke siwa
tum zamane se wasta rakkho
mera koi nahin KHuda ke siwa
aaj tak main ne kuchh nahin manga
ek dil-e-dard-ashna ke siwa
aap sab ko gale laga lenge
han magar meri iltija ke siwa
mere honTon pe kuchh nahin ya-rab
ek yahi harf-e-iltija ke siwa
ab to lagta hai tujh se milne ka
rasta kuchh nahin dua ke siwa
ye bhi sach hai ki hum gharibon ki
koi daulat nahin ana ke siwa
meri mahrumiyon ne jaana hai
zindagi kuchh nahin saza ke siwa
arsh ko koi chhu nahin sakta
sirf mazlum ki sada ke siwa
'taj' main ne jahan-e-hasti mein
kuchh bhi sikha nahin wafa ke siwa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.