ek dilkash zahr se labrez paimane ka nam
ek dilkash zahr se labrez paimāne kā naam
zindagī kyā hai ḳhushī se jal ke mar jaane kā naam
aql hai bil-maslahat be-ai.tmādi kī ravish
ishq hai be-sāḳhta īmān le aane kā naam
āgahī kyā hai musalsal ḳhud-farebī kā chalan
raushnī kyā hai fareb mustaqil khāne kā naam
ḳhāmushī uryānī-e-mafhūm kā tābish-kada
guftugū māshūq ko malbūs pahnāne kā naam
ab mujhe dār-o-rasan kī samt muḌne dījiye
aap ne ḳhud to chunā thā mere afsāne kā naam
ḳhvāhishoñ kī ibtidā ġhunche chaTaḳhne kī sadā
ḳhvāhishoñ kī intihā phūloñ ke murjhāne kā naam
dost-dārī kā ye pairāya bhī kyā dilchasp hai
le rahe haiñ sāmne mere vo begāne kā naam
haiñ 'adam' ke zikr par kyoñ aap itne pur-ġhazab
sham.a ke hamrāh aa jaatā hai parvāne kā naam
ek dilkash zahr se labrez paimane ka nam
zindagi kya hai KHushi se jal ke mar jaane ka nam
aql hai bil-maslahat be-aitmadi ki rawish
ishq hai be-saKHta iman le aane ka nam
aagahi kya hai musalsal KHud-farebi ka chalan
raushni kya hai fareb mustaqil khane ka nam
KHamushi uryani-e-mafhum ka tabish-kada
guftugu mashuq ko malbus pahnane ka nam
ab mujhe dar-o-rasan ki samt muDne dijiye
aap ne KHud to chuna tha mere afsane ka nam
KHwahishon ki ibtida ghunche chaTaKHne ki sada
KHwahishon ki intiha phulon ke murjhane ka nam
dost-dari ka ye pairaya bhi kya dilchasp hai
le rahe hain samne mere wo begane ka nam
hain 'adam' ke zikr par kyon aap itne pur-ghazab
shama ke hamrah aa jata hai parwane ka nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.