ek din degi dagha aisa kabhi socha na tha
ek din degī daġhā aisā kabhī sochā na thā
zindagī kā ruup ye ham ne kabhī dekhā na thā
maiñ pakaḌ laa.ī thī jugnū raushnī ke vāste
kaalī rātoñ kā tasalsul thā tirā chehra na thā
bas anā thī do diloñ ke darmiyāñ jhūTī anā
biich meñ varna hamāre fāsla itnā na thā
āḳhirash maiñ apne andar kī kamī meñ mar ga.ī
tum ko mere ġham kī gahrā.ī kā andāza na thā
tū nazar-andāz kar degā mujhe aise kabhī
is tarah kā koī mere dil ko to dhaḌkā na thā
ek din degi dagha aisa kabhi socha na tha
zindagi ka rup ye hum ne kabhi dekha na tha
main pakaD lai thi jugnu raushni ke waste
kali raaton ka tasalsul tha tera chehra na tha
bas ana thi do dilon ke darmiyan jhuTi ana
bich mein warna hamare fasla itna na tha
aaKHirash main apne andar ki kami mein mar gai
tum ko mere gham ki gahrai ka andaza na tha
tu nazar-andaz kar dega mujhe aise kabhi
is tarah ka koi mere dil ko to dhaDka na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.