ek din raat ke girye ka latifa hona
ek din raat ke girye kā latīfa honā
yā'nī jaadū hai koī hijr purānā honā
aaj bas nafs kī sun aaj to insān hī rah
yaar chubhtā hai tirā roz farishta honā
chaar chhe roz to lagne haiñ magar chāñd mire
mujh se ab aur nahīñ hogā tumhārā honā
ḳhud se milne kī mujhe pahlī dafa fursat thī
mujh pe ehsān rahā merā akelā honā
ḳhud-kushī zaat pe lāzim sī huī jaatī hai
par kisī shaḳhs ke hone kā dilāsa honā
ek do vaqfe ubāsī ke zarūr aate haiñ
ġhair mumkin hai koī nasr-e-murassa’ honā
maiñ ne chāhā thā madīne meñ tere haath meñ haath
yā'nī aqsām-e-mohabbat kā ikaTThā honā
ek din raat ke girye ka latifa hona
ya'ni jadu hai koi hijr purana hona
aaj bas nafs ki sun aaj to insan hi rah
yar chubhta hai tera roz farishta hona
chaar chhe roz to lagne hain magar chand mere
mujh se ab aur nahin hoga tumhaara hona
KHud se milne ki mujhe pahli dafa fursat thi
mujh pe ehsan raha mera akela hona
KHud-kushi zat pe lazim si hui jati hai
par kisi shaKHs ke hone ka dilasa hona
ek do waqfe ubasi ke zarur aate hain
ghair mumkin hai koi nasr-e-murassa’ hona
main ne chaha tha madine mein tere hath mein hath
ya'ni aqsam-e-mohabbat ka ikaTTha hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.