ek din zehn mein aaseb phirega aisa
ek din zehn meñ aaseb phiregā aisā
ye saman-zār nazar aa.egā sahrā aisā
maiñ ne kyā ranj diye ashk na lauTā.e mujhe
ai mire dil koī be-faiz na dekhā aisā
ek muddat se koī lahar na uTThī mujh meñ
merī āñkhoñ se chhupā chāñd kā chehra aisā
raat kahtī hai mulāqāt na hogī apnī
tū koī ḳhvāb na maiñ niiñd kā maatā aisā
jism kī sat.h pe kāġhaz kī tarah zinda haiñ
tū samundar hai na maiñ Dūbne vaalā aisā
tere chehre pe ujāle kī saḳhāvat aisī
aur mirī ruuh meñ nādār añdherā aisā
har na.e dard kī poshāk pahan lī maiñ ne
jaañ mohazzab na huī maiñ thā barahna aisā
ek din zehn mein aaseb phirega aisa
ye saman-zar nazar aaega sahra aisa
main ne kya ranj diye ashk na lauTae mujhe
ai mere dil koi be-faiz na dekha aisa
ek muddat se koi lahar na uTThi mujh mein
meri aankhon se chhupa chand ka chehra aisa
raat kahti hai mulaqat na hogi apni
tu koi KHwab na main nind ka mata aisa
jism ki sath pe kaghaz ki tarah zinda hain
tu samundar hai na main Dubne wala aisa
tere chehre pe ujale ki saKHawat aisi
aur meri ruh mein nadar andhera aisa
har nae dard ki poshak pahan li main ne
jaan mohazzab na hui main tha barahna aisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.