ek do ashk bahati hai chali jati hai
ek do ashk bahātī hai chalī jaatī hai
ab tirī yaad bhī aatī hai chalī jaatī hai
vo mirī dost jise ba.ad mire chāhā thā
mujh se nazroñ ko churātī hai chalī jaatī hai
kabhī dahshat ne bigāḌe the par ab tanhā.ī
ḳhud mire baal banātī hai chalī jaatī hai
sabt kar ke mire māthe pe mirī hū kī mohr
chāñdnī dard baḌhātī hai chalī jaatī hai
ye mohabbat bhī ajab chiiz hai 'zehrā-zaidī'
chand lamhoñ ko sajātī hai chalī jaatī hai
ek do ashk bahati hai chali jati hai
ab teri yaad bhi aati hai chali jati hai
wo meri dost jise baad mere chaha tha
mujh se nazron ko churaati hai chali jati hai
kabhi dahshat ne bigaDe the par ab tanhai
KHud mere baal banati hai chali jati hai
sabt kar ke mere mathe pe meri hu ki mohr
chandni dard baDhati hai chali jati hai
ye mohabbat bhi ajab chiz hai 'zehra-zaidi'
chand lamhon ko sajati hai chali jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.