ek do ashk-e-nadamat nahin paida karte
ek do ashk-e-nadāmat nahīñ paidā karte
pahlī hī baar kahāñ ghaas harī aatī hai
sochtā huuñ ki kise dekhūñ kise na dekhūñ
niiñd āñkhoñ pe ka.ī ḳhvāb dharī aatī hai
ishq kī aag pe ye tel chhiḌaktī hai miyāñ
ḳhushk āñkhoñ se jo ashkoñ kī laḌī aatī hai
ashk jo chāñd ke chehre pe bhī girte haiñ kabhī
zindagī ek tasavvur se jilā paatī hai
ḳhushk mausam kā jo ik baar kiyā thā shikva
tab se milne mujhe har saal murrē aatī hai
pahle ik umr paristān kī galiyāñ nāpīñ
phir mire haath meñ jaadū kī chhaḌī aatī hai
ho to saktī hai mayassar mujhe ḳhil.at 'mūsā'
kyā karūñ biich meñ daryūza-garī aatī hai
ek do ashk-e-nadamat nahin paida karte
pahli hi bar kahan ghas hari aati hai
sochta hun ki kise dekhun kise na dekhun
nind aankhon pe kai KHwab dhari aati hai
ishq ki aag pe ye tel chhiDakti hai miyan
KHushk aankhon se jo ashkon ki laDi aati hai
ashk jo chand ke chehre pe bhi girte hain kabhi
zindagi ek tasawwur se jila pati hai
KHushk mausam ka jo ek bar kiya tha shikwa
tab se milne mujhe har sal murree aati hai
pahle ek umr paristan ki galiyan napin
phir mere hath mein jadu ki chhaDi aati hai
ho to sakti hai mayassar mujhe KHilat 'musa'
kya karun bich mein daryuza-gari aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.