ek do KHwab agar dekh liye jaenge
ek do ḳhvāb agar dekh liye jā.eñge
aisā lagtā hai ki ham log jiye jā.eñge
zindagī ham ko mohabbat kī ijāzat de de
hasb-e-taufīq tirā shukr kiye jā.eñge
khiḌkiyāñ is liye kamre kī nahīñ kholtā maiñ
ye parinde to yahāñ shor kiye jā.eñge
is liye chuum ke jaatā hai vo merī āñkheñ
ye vo āñkheñ haiñ jinheñ ashk diye jā.eñge
ek do KHwab agar dekh liye jaenge
aisa lagta hai ki hum log jiye jaenge
zindagi hum ko mohabbat ki ijazat de de
hasb-e-taufiq tera shukr kiye jaenge
khiDkiyan is liye kamre ki nahin kholta main
ye parinde to yahan shor kiye jaenge
is liye chum ke jata hai wo meri aankhen
ye wo aankhen hain jinhen ashk diye jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.