ek do pal ki aashnai bas
ek do pal kī āshnā.ī bas
aur phir 'umr bhar duhā.ī bas
'uzr dene meñ kuchh nahīñ lekin
mere dāman meñ hai ḳhudā.ī bas
diid kī taab hī na dī us ne
apnī āvāz hī sunā.ī bas
kis ne āvāz ḳhadd-o-ḳhāl ko dī
maiñ ne tasvīr hī banā.ī bas
us ke hāthoñ meñ vasl ke gahne
mere kaase meñ hai judā.ī bas
ek do pal ki aashnai bas
aur phir 'umr bhar duhai bas
'uzr dene mein kuchh nahin lekin
mere daman mein hai KHudai bas
did ki tab hi na di us ne
apni aawaz hi sunai bas
kis ne aawaz KHadd-o-KHal ko di
main ne taswir hi banai bas
us ke hathon mein wasl ke gahne
mere kase mein hai judai bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.