ek duniya hun ek jahan hun main
ek duniyā huuñ ik jahāñ huuñ maiñ
āsmāñ zer-e-āsmāñ huuñ maiñ
laakh asrār mujh meñ haiñ pinhāñ
garche mash.hūr dāstāñ huuñ maiñ
kal mujhī se thī gulsitāñ kī bahār
aaj ḳhud nañg-e-gulsitāñ huuñ maiñ
rāh-e-manzil se duur kosoñ duur
ḳhud-farāmosh kārvāñ huuñ maiñ
raat ko mai-kada-nashīnoñ meñ
din ko kā'be kā pāsbāñ huuñ maiñ
shām-e-zulmat meñ 'nayyar'-e-tābāñ
ik charāġh ik charāġh-dāñ huuñ maiñ
ek duniya hun ek jahan hun main
aasman zer-e-asman hun main
lakh asrar mujh mein hain pinhan
garche mashhur dastan hun main
kal mujhi se thi gulsitan ki bahaar
aaj KHud nang-e-gulsitan hun main
rah-e-manzil se dur koson dur
KHud-faramosh karwan hun main
raat ko mai-kada-nashinon mein
din ko ka'be ka pasban hun main
sham-e-zulmat mein 'nayyar'-e-taban
ek charagh ek charagh-dan hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.