ek duniya nai banaenge
ek duniyā na.ī banā.eñge
hū-ba-hū aap sī banā.eñge
apne aañsū sambhāl kar rakhnā
ik samundar kabhī banā.eñge
ham suneñge kahāniyāñ pahle
phir tujhe jal-parī banā.eñge
terā kirdār bas zarā sā hai
ham tujhe markazī banā.eñge
canvas par banā ke rādhā-shyām
saath ik bāñsurī banā.eñge
ik jagah ham banā.eñge dariyā
ik jagah tishnagī banā.eñge
ek duniya nai banaenge
hu-ba-hu aap si banaenge
apne aansu sambhaal kar rakhna
ek samundar kabhi banaenge
hum sunenge kahaniyan pahle
phir tujhe jal-pari banaenge
tera kirdar bas zara sa hai
hum tujhe markazi banaenge
canwas par bana ke radha-shyam
sath ek bansuri banaenge
ek jagah hum banaenge dariya
ek jagah tishnagi banaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.