ek duniya se dil nahin bharta
ek duniyā se dil nahīñ bhartā
chaah kar koī bhī nahīñ martā
jitnā ġhussa dikhātī huuñ us ko
vo kisī baat par nahīñ Dartā
be-sabab hī udaas rahtā hai
dil koī kaam hī nahīñ kartā
yaar par giit likh rahī huuñ maiñ
pyaar kā qāfiya nahīñ bartā
har dafa maiñ harātī huuñ us ko
apnī marzī se kyuuñ nahīñ hartā
ek duniya se dil nahin bharta
chah kar koi bhi nahin marta
jitna ghussa dikhati hun us ko
wo kisi baat par nahin Darta
be-sabab hi udas rahta hai
dil koi kaam hi nahin karta
yar par git likh rahi hun main
pyar ka qafiya nahin barta
har dafa main haraati hun us ko
apni marzi se kyun nahin harta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.