ek duje ke qarin baiTh ke ro lete hain
ek duuje ke qarīñ baiTh ke ro lete haiñ
jahāñ kahtā hai vahīñ baiTh ke ro lete haiñ
maiñ bahut jald zamāne se bichhaḌ jā.ūñgā
aa.iye mujh ko kahīñ baiTh ke ro lete haiñ
aaj kā ronā kabhī kal pe nahīñ Taalā hai
jahāñ kā ġham ho vahīñ baiTh ke ro lete haiñ
mujh ko ma.alūm hai vo itnā na ro pā.egā
is liye yaar hamīñ baiTh ke ro lete haiñ
vahāñ mayyat kī samā.at pe garāñ guzregā
maiñ to kahtā huuñ yahīñ baiTh ke ro lete haiñ
ek ham haiñ jinheñ fursat hī nahīñ miltī 'aqīl'
varna to log kahīñ baiTh ke ro lete haiñ
ek duje ke qarin baiTh ke ro lete hain
jahan kahta hai wahin baiTh ke ro lete hain
main bahut jald zamane se bichhaD jaunga
aaiye mujh ko kahin baiTh ke ro lete hain
aaj ka rona kabhi kal pe nahin Tala hai
jahan ka gham ho wahin baiTh ke ro lete hain
mujh ko malum hai wo itna na ro paega
is liye yar hamin baiTh ke ro lete hain
wahan mayyat ki samaat pe garan guzrega
main to kahta hun yahin baiTh ke ro lete hain
ek hum hain jinhen fursat hi nahin milti 'aqil'
warna to log kahin baiTh ke ro lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.