ek ehsas-e-ziyan chhoDega
ek ehsās-e-ziyāñ chhoḌegā
hijr hai ye to nishāñ chhoḌegā
yā bulā.egā sar-e-dasht-e-balā
yā sar-e-nok-e-sināñ chhoḌegā
pahle raste se uThā.egā yaqīñ
aur phir us pe gumāñ chhoḌegā
maiñ bhī bolūñgā bahut bolūñgā
ḳhauf jab merī zabāñ chhoḌegā
jāntā huuñ ki vo chhoḌegā zarūr
dekhnā hai ki kahāñ chhoḌegā
shahryārī na thī tere bas meñ
maiñ na kahtā thā miyāñ chhoḌegā
jo rivāyat hai vo puurī hogī
ishq mujh ko bhī kahāñ chhoḌegā
maiñ hī 'ausāf' likhūñgā anjām
ye kahānī vo jahāñ chhoḌegā
ek ehsas-e-ziyan chhoDega
hijr hai ye to nishan chhoDega
ya bulaega sar-e-dasht-e-bala
ya sar-e-nok-e-sinan chhoDega
pahle raste se uThaega yaqin
aur phir us pe guman chhoDega
main bhi bolunga bahut bolunga
KHauf jab meri zaban chhoDega
jaanta hun ki wo chhoDega zarur
dekhna hai ki kahan chhoDega
shahryari na thi tere bas mein
main na kahta tha miyan chhoDega
jo riwayat hai wo puri hogi
ishq mujh ko bhi kahan chhoDega
main hi 'ausaf' likhunga anjam
ye kahani wo jahan chhoDega
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.