ek ek qatra us ka shoala-fishan sa hai
ek ek qatra us kā shoa.la-fishāñ sā hai
mauj-e-sabā pe reg-e-ravāñ kā gumāñ sā hai
shāyad yahī hai hāsil-e-umr-e-gurez-pā
phailā huā dimāġh meñ har-sū dhuāñ sā hai
phāñkī hai jab se maiñ ne tire ruup kī dhanak
ehsās rañg-o-nūr kā sail-e-ravāñ sā hai
nanhā sā taar ufuq pe jo ab tak hai zau-fishāñ
tārīkī-e-hayāt pe bār-e-garāñ sā hai
shab-bhar jahāñ pighaltī rahī chāñd sī 'zamīr'
us shāḳh pe ba-shakl-e-dil ab tak nishāñ sā hai
ek ek qatra us ka shoala-fishan sa hai
mauj-e-saba pe reg-e-rawan ka guman sa hai
shayad yahi hai hasil-e-umr-e-gurez-pa
phaila hua dimagh mein har-su dhuan sa hai
phanki hai jab se main ne tere rup ki dhanak
ehsas rang-o-nur ka sail-e-rawan sa hai
nanha sa tar ufuq pe jo ab tak hai zau-fishan
tariki-e-hayat pe bar-e-garan sa hai
shab-bhar jahan pighalti rahi chand si 'zamir'
us shaKH pe ba-shakl-e-dil ab tak nishan sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.