ek gham hai use apna jaanen
ek ġham hai use apnā jāneñ
ham kisī aur ko kyā pahchāneñ
mujh ko barbād kar ābād bhī kar
jhuuT is tarah se kah sach jāneñ
ḳhvāb dekheñ na.e sar se tere
phir tire dhyān kī chādar tāneñ
dil ke bāzār kā naqsha thā ajiib
chāñd niklā to khulīñ dukāneñ
chheḌte haiñ use ḳhud hī 'mus.haf'
us kī bātoñ kā burā bhī māneñ
ek gham hai use apna jaanen
hum kisi aur ko kya pahchanen
mujh ko barbaad kar aabaad bhi kar
jhuT is tarah se kah sach jaanen
KHwab dekhen nae sar se tere
phir tere dhyan ki chadar tanen
dil ke bazar ka naqsha tha ajib
chand nikla to khulin dukanen
chheDte hain use KHud hi 'mushaf'
us ki baaton ka bura bhi manen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.