ek ghazal kahte hain ek kaifiyyat tari kar lete hain
ek ġhazal kahte haiñ ik kaifiyyat taarī kar lete haiñ
yuuñ duniyā par aglī chaḌhā.ī kī tayyārī kar lete haiñ
kitnī mohabbat kartā hai vo kaise kaheñ gar pūchh le koī
so a.adād-o-shumār kī ḳhātir zaḳhm-shumārī kar lete haiñ
us ke ḳhvāb uThā.e nahīñ uThte halkī-phulkī āñkhoñ se
aise meñ ham rāteñ jaag ke palkeñ bhārī kar lete haiñ
bahut ziyāda sehat-mandī ek tarah kī be-adabī hai
us se milne jaate haiñ to kuchh bīmārī kar lete haiñ
jab bhī lahū meñ rañg-e-ḳhizāñ kī saḳhtī baḌhne lag jaatī hai
chand lab o ruḳhsār bulā kar jashn-e-bahārī kar lete haiñ
sabza-e-jāñ ke harā-bharā rahne kī ek yahī sūrat hai
sūkhā paḌte hī āñkhoñ kī nahreñ jaarī kar lete haiñ
itnā maal kahāñ ki dukāñ bāzār-e-mohabbat meñ le paa.eñ
chhoTā-moTā kārobār-e-tah-bāzārī kar lete haiñ
ātish-e-shauq sivā karne ko muñh phere rahte haiñ us se
ham se sāda-lauh bhī aksar ye hushyārī kar lete haiñ
naḳhl-e-umīd harā ho jaatā hai aksar bārān-e-karam se
so ham aksar us ke dar par ḳhud ko bhikārī kar lete haiñ
vo sirf ek ke paas hī rah ke chalā jaa.e to ḳhair nahīñ hai
ruuh o badan aise mauqoñ par mārā-mārī kar lete haiñ
paañv havā jaise haiñ hamāre jin kā naqsh nahīñ rah paatā
shādī-shuda har rāhguzar kuchh din meñ kuñvārī kar lete haiñ
afsar-e-duniyā saḳht sahī 'farhat-ehsās' haiñ āḳhir ham bhī
daftar meñ bhī apnī sī kuchh kār-guzārī kar lete haiñ
ek ghazal kahte hain ek kaifiyyat tari kar lete hain
yun duniya par agli chaDhai ki tayyari kar lete hain
kitni mohabbat karta hai wo kaise kahen gar puchh le koi
so aadad-o-shumar ki KHatir zaKHm-shumari kar lete hain
us ke KHwab uThae nahin uThte halki-phulki aankhon se
aise mein hum raaten jag ke palken bhaari kar lete hain
bahut ziyaada sehat-mandi ek tarah ki be-adabi hai
us se milne jate hain to kuchh bimari kar lete hain
jab bhi lahu mein rang-e-KHizan ki saKHti baDhne lag jati hai
chand lab o ruKHsar bula kar jashn-e-bahaari kar lete hain
sabza-e-jaan ke hara-bhara rahne ki ek yahi surat hai
sukha paDte hi aankhon ki nahren jari kar lete hain
itna mal kahan ki dukan bazar-e-mohabbat mein le paen
chhoTa-moTa karobar-e-tah-bazari kar lete hain
aatish-e-shauq siwa karne ko munh phere rahte hain us se
hum se sada-lauh bhi aksar ye hushyari kar lete hain
naKHl-e-umid hara ho jata hai aksar baran-e-karam se
so hum aksar us ke dar par KHud ko bhikari kar lete hain
wo sirf ek ke pas hi rah ke chala jae to KHair nahin hai
ruh o badan aise mauqon par mara-mari kar lete hain
panw hawa jaise hain hamare jin ka naqsh nahin rah pata
shadi-shuda har rahguzar kuchh din mein kunwari kar lete hain
afsar-e-duniya saKHt sahi 'farhat-ehsas' hain aaKHir hum bhi
daftar mein bhi apni si kuchh kar-guzari kar lete hain
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 129)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.