ek hangama-e-fariyaad har ek dil se uTha
ek hangāma-e-fariyād har ik dil se uThā
kaun ye ishq kā maarā tirī mahfil se uThā
ġhāliban dil kī bhī āvāz yahī thī lekin
ḳhair se shor-e-qayāmat tirī mahfil se uThā
apnā bhī aks-e-tajallī thā ba-andāz-e-jamāl
aur kyā arz karūñ kaun muqābil se uThā
justujū ḳhatm nazar sust tamanna mahjūb
kaun vāmāñda-qadam parda-e-manzil se uThā
ḳhūgar-e-sa.ī-e-mukāfāt-e-amal ban ke 'atīq'
fā.eda tū bhī har āsānī-o-mushkil se uThā
ek hangama-e-fariyaad har ek dil se uTha
kaun ye ishq ka mara teri mahfil se uTha
ghaaliban dil ki bhi aawaz yahi thi lekin
KHair se shor-e-qayamat teri mahfil se uTha
apna bhi aks-e-tajalli tha ba-andaz-e-jamal
aur kya arz karun kaun muqabil se uTha
justuju KHatm nazar sust tamanna mahjub
kaun wamanda-qadam parda-e-manzil se uTha
KHugar-e-sai-e-mukafat-e-amal ban ke 'atiq'
faeda tu bhi har aasani-o-mushkil se uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.