ek haqiqat ke do mahmil husn-o-mohabbat donon hain
ek haqīqat ke do mahmil husn-o-mohabbat donoñ haiñ
ḳhalvat-ḳhalvat mahfil-mahfil husn-o-mohabbat donoñ haiñ
sab se tanhā sab meñ shāmil husn-o-mohabbat donoñ haiñ
kitne āsāñ kitne mushkil husn-o-mohabbat donoñ haiñ
apne apne ā.īne meñ dekhte haiñ muñh apnā apnā
apne apne aap muqābil husn-o-mohabbat donoñ haiñ
gaahe raahī gaahe rahzan gaahe rahrav gaahe rahbar
gaahe jaada gaahe manzil husn-o-mohabbat donoñ haiñ
ek haqīqat ke do pahlū har pahlū meñ lākhoñ pahlū
har jalva har diida har dil husn-o-mohabbat donoñ haiñ
daana daana ḳhosha ḳhosha mazra' mazra' bijlī bijlī
ḳhirman ḳhirman hāsil hāsil husn-o-mohabbat donoñ haiñ
aap haiñ dariyā aap haiñ kashtī aap hī kashtī-bāñ apne
gaahe tūfāñ gaahe sāhil husn-o-mohabbat donoñ haiñ
'ishq 'zahīn' īmān hai merā husn hai mujh ko jaañ se pyārā
merī fitrat hī meñ shāmil husn-o-mohabbat donoñ haiñ
ek haqiqat ke do mahmil husn-o-mohabbat donon hain
KHalwat-KHalwat mahfil-mahfil husn-o-mohabbat donon hain
sab se tanha sab mein shamil husn-o-mohabbat donon hain
kitne aasan kitne mushkil husn-o-mohabbat donon hain
apne apne aaine mein dekhte hain munh apna apna
apne apne aap muqabil husn-o-mohabbat donon hain
gahe rahi gahe rahzan gahe rahraw gahe rahbar
gahe jada gahe manzil husn-o-mohabbat donon hain
ek haqiqat ke do pahlu har pahlu mein lakhon pahlu
har jalwa har dida har dil husn-o-mohabbat donon hain
dana dana KHosha KHosha mazra' mazra' bijli bijli
KHirman KHirman hasil hasil husn-o-mohabbat donon hain
aap hain dariya aap hain kashti aap hi kashti-ban apne
gahe tufan gahe sahil husn-o-mohabbat donon hain
'ishq 'zahin' iman hai mera husn hai mujh ko jaan se pyara
meri fitrat hi mein shamil husn-o-mohabbat donon hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.