ek harf-e-muddaa tha dastan kaise hua
ek harf-e-mudda.ā thā dāstāñ kaise huā
reg kā ye silsila āb-e-ravāñ kaise huā
vo abhī hamrāh thā is zindagī ke dasht meñ
umr bhar kā saath pal meñ rā.egāñ kaise huā
āshnā.ī meñ vo chehra sūrat-e-ḳhurshīd thā
ajnabī ho kar vahī chehra dhuāñ kaise huā
dil to pahle hī lahū thā dashnae-e-ayyām se
tujh se ye vār-e-sitam ai mehrbāñ kaise huā
ho ga.ī shāyad ḳhabar us ko fazā meñ zahr kī
tāza-dam taa.ir vagarna nīm-jāñ kaise huā
ek harf-e-muddaa tha dastan kaise hua
reg ka ye silsila aab-e-rawan kaise hua
wo abhi hamrah tha is zindagi ke dasht mein
umr bhar ka sath pal mein raegan kaise hua
aashnai mein wo chehra surat-e-KHurshid tha
ajnabi ho kar wahi chehra dhuan kaise hua
dil to pahle hi lahu tha dashnae-e-ayyam se
tujh se ye war-e-sitam ai mehrban kaise hua
ho gai shayad KHabar us ko faza mein zahr ki
taza-dam tair wagarna nim-jaan kaise hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.