ek hasrat mein Dhal ke Dasti hai
ek hasrat meñ Dhal ke Dastī hai
abr se bekalī barastī hai
ek ḳhāka sā mere dhyān meñ hai
ek ḳhvāhish sī dil meñ bastī hai
raat meñ bhī na ho sakā raushan
dil-mohalle meñ tañg-dastī hai
ghar ke dīvār-o-dar hī muḳhlis haiñ
baaqī duniyā to mujh pe hañstī hai
kyoñ yahāñ DhūñDte ho muskāneñ
dahr to ik udaas bastī hai
har kisī ko bhalā ho kyoñ hāsil
ġham kī sauġhāt koī sastī hai
jab bhī maiñ mahfiloñ meñ hotā huuñ
ruuh tanhā.ī ko tarastī hai
ek hasrat mein Dhal ke Dasti hai
abr se bekali barasti hai
ek KHaka sa mere dhyan mein hai
ek KHwahish si dil mein basti hai
raat mein bhi na ho saka raushan
dil-mohalle mein tang-dasti hai
ghar ke diwar-o-dar hi muKHlis hain
baqi duniya to mujh pe hansti hai
kyon yahan DhunDte ho muskanen
dahr to ek udas basti hai
har kisi ko bhala ho kyon hasil
gham ki saughat koi sasti hai
jab bhi main mahfilon mein hota hun
ruh tanhai ko tarasti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.