ek hi dasht tha wo bhi na khangala maine
ek hī dasht thā vo bhī na khañgālā maiñ ne
dil pe lenā nahīñ thā paañv kā chhālā maiñ ne
ghar ke Dah jaane meñ ġhaflat mirī shāmil thī magar
saarā malba dar-o-dīvār pe Daalā maiñ ne
kaash maiñ apne azā-dāroñ ko batlā saktā
kaisā dukh thā vo jise maut se Taalā maiñ ne
āḳhir-e-kār ġhulāmī se baġhāvat kar dī
aur zanjīr ko shamshīr meñ Dhālā maiñ ne
yuuñ to har shaḳhs yahāñ aañkh liye phirtā hai
par nahīñ dekhā koī dekhne vaalā maiñ ne
aur phir ik roz hamesha ke liye kho gayā maiñ
ya.anī ik roz use DhūñD nikālā maiñ ne
ek hi dasht tha wo bhi na khangala main ne
dil pe lena nahin tha panw ka chhaala main ne
ghar ke Dah jaane mein ghaflat meri shamil thi magar
sara malba dar-o-diwar pe Dala main ne
kash main apne aza-daron ko batla sakta
kaisa dukh tha wo jise maut se Tala main ne
aaKHir-e-kar ghulami se baghawat kar di
aur zanjir ko shamshir mein Dhaala main ne
yun to har shaKHs yahan aankh liye phirta hai
par nahin dekha koi dekhne wala main ne
aur phir ek roz hamesha ke liye kho gaya main
yani ek roz use DhunD nikala main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.