ek hi lafz mein daftar likhna
ek hī lafz meñ daftar likhnā
ḳhat use soch samajh kar likhnā
jab chalī tez havā kī talvār
kitne panchhī hue be-par likhnā
chāñdnī kis kā muqaddar Thahrī
kis kā tārīk rahā ghar likhnā
jhiil se ubhrī thī jab qaus-e-quzah
vo sulagtā huā manzar likhnā
naam bhī us kā jo likhnā paḌ jaa.e
ravish-e-ām se haT kar likhnā
ḳhauf karnā na havā kā hargiz
reg-e-sahrā pe samundar likhnā
hai ajab karb qalam meñ ai 'tāj'
jo na likhnā ho vo aksar likhnā
ek hi lafz mein daftar likhna
KHat use soch samajh kar likhna
jab chali tez hawa ki talwar
kitne panchhi hue be-par likhna
chandni kis ka muqaddar Thahri
kis ka tarik raha ghar likhna
jhil se ubhri thi jab qaus-e-quzah
wo sulagta hua manzar likhna
nam bhi us ka jo likhna paD jae
rawish-e-am se haT kar likhna
KHauf karna na hawa ka hargiz
reg-e-sahra pe samundar likhna
hai ajab karb qalam mein ai 'taj'
jo na likhna ho wo aksar likhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.