ek hi man ki sab auladen mano jhagDa karti hain
ek hī maañ kī sab aulādeñ maano jhagḌā kartī haiñ
shahr-e-dil kī galiyoñ meñ jab yādeñ khelā kartī haiñ
dard yakāyak tham jaatā hai mad.hoshī chhā jaatī hai
sāñseñ nikal jab mere badan se tujh ko chūmā kartī haiñ
sūraj chāñd kināre sāgar bechainī ke maare haiñ
kis kī bechainī meñ lahreñ karvaT badlā kartī haiñ
dekhne vaale chhoḌ ga.e sab apnī nazreñ manzar pe
ya.anī ham sab kī āñkheñ bas manzar mailā kartī haiñ
rīt-rivāj alag ulfat ke kaun ḳhudā ye kaun kahe
donoñ pujāran apne apne daas kī puujā kartī haiñ
ek hi man ki sab auladen mano jhagDa karti hain
shahr-e-dil ki galiyon mein jab yaaden khela karti hain
dard yakayak tham jata hai madhoshi chha jati hai
sansen nikal jab mere badan se tujh ko chuma karti hain
suraj chand kinare sagar bechaini ke mare hain
kis ki bechaini mein lahren karwaT badla karti hain
dekhne wale chhoD gae sab apni nazren manzar pe
yani hum sab ki aankhen bas manzar maila karti hain
rit-riwaj alag ulfat ke kaun KHuda ye kaun kahe
donon pujaran apne apne das ki puja karti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.