ek hi manzar to behtar tha hamein
ek hī manzar to behtar thā hameñ
yuuñ pas-e-manzar kā kab Dar thā hameñ
fā.iloñ se kah diyā thā hāl-e-dil
yaar behtar ghar se daftar thā hameñ
jaam meñ hotā ḳhulūs-e-dil agar
ek qatra bhī samundar thā hameñ
dil jo patthar thā vo patthar hī rahā
kyoñ koī darpesh aazar thā hameñ
ab hameñ apnī ḳhabar rahtī nahīñ
mas.ala mā'lūm ghar ghar thā hameñ
ye raqīb-e-jāñ kabhī thā nāma-bar
is se behtar to kabūtar thā hameñ
kis qadar rote the 'ārif' phuuT kar
ek kāñdhā jab mayassar thā hameñ
ek hi manzar to behtar tha hamein
yun pas-e-manzar ka kab Dar tha hamein
failon se kah diya tha haal-e-dil
yar behtar ghar se daftar tha hamein
jam mein hota KHulus-e-dil agar
ek qatra bhi samundar tha hamein
dil jo patthar tha wo patthar hi raha
kyon koi darpesh aazar tha hamein
ab hamein apni KHabar rahti nahin
masala ma'lum ghar ghar tha hamein
ye raqib-e-jaan kabhi tha nama-bar
is se behtar to kabutar tha hamein
kis qadar rote the 'arif' phuT kar
ek kandha jab mayassar tha hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.