ek hi masala ta-umr mera hal na hua
ek hī mas.ala tā-'umr mirā hal na huā
niiñd puurī na huī ḳhvāb mukammal na huā
shahr-e-dil kā jo makīñ hai vo bichhaḌtā kab hai
jis qadar duur gayā aañkh se ojhal na huā
aaj bhī dil kī zamīñ ḳhushk rahī tishna rahī
aaj bhī mā.il-e-altāf vo bādal na huā
raushnī chhan ke tire ruḳh kī na mujh tak pahuñche
ek dīvār huī ye koī āñchal na huā
jin ko ik 'umr kā nazrāna diye baiThe haiñ
aaj tak us se ta'āruf bhī mufassal na huā
un se milte haiñ bichhaḌ jaate haiñ phir milte haiñ
zinda rahne kā ‘amal ham se musalsal na huā
jis pe rakhnā thī mujhe apnī asās-e-hastī
apnī qismat meñ 'munavvar' vahī ik pal na huā
ek hi masala ta-'umr mera hal na hua
nind puri na hui KHwab mukammal na hua
shahr-e-dil ka jo makin hai wo bichhaDta kab hai
jis qadar dur gaya aankh se ojhal na hua
aaj bhi dil ki zamin KHushk rahi tishna rahi
aaj bhi mail-e-altaf wo baadal na hua
raushni chhan ke tere ruKH ki na mujh tak pahunche
ek diwar hui ye koi aanchal na hua
jin ko ek 'umr ka nazrana diye baiThe hain
aaj tak us se ta'aruf bhi mufassal na hua
un se milte hain bichhaD jate hain phir milte hain
zinda rahne ka ‘amal hum se musalsal na hua
jis pe rakhna thi mujhe apni asas-e-hasti
apni qismat mein 'munawwar' wahi ek pal na hua
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 204)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.