ek hi mazmun ke kitne hain bab
ek hī mazmūn ke kitne haiñ baab
ḳhuun aañsū chīḳh vahshat iztirāb
is tarah chehre pe hai un ke naqāb
gahn meñ ho jis tarah se āftāb
vo to kahiye thā muqaddar kā dhanī
varna us kā vaar to thā kāmyāb
ḳhūn-e-nāhaq kā sitam-ījād se
vaqt ik ik buuñd kā legā hisāb
sar chhupāne ko sahārā DhūñDiye
bastiyāñ aane ko phir haiñ zer-e-āb
zehn kī gahrā.iyoñ meñ jhāñk kar
dekhiye aatā hai kaise inqalāb
husn ke darbār meñ dekho 'sahar'
aa.ina kartā hai kis ko intiḳhāb
ek hi mazmun ke kitne hain bab
KHun aansu chiKH wahshat iztirab
is tarah chehre pe hai un ke naqab
gahn mein ho jis tarah se aaftab
wo to kahiye tha muqaddar ka dhani
warna us ka war to tha kaamyab
KHun-e-nahaq ka sitam-ijad se
waqt ek ek bund ka lega hisab
sar chhupane ko sahaara DhunDiye
bastiyan aane ko phir hain zer-e-ab
zehn ki gahraiyon mein jhank kar
dekhiye aata hai kaise inqalab
husn ke darbar mein dekho 'sahar'
aaina karta hai kis ko intiKHab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.