Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek hi pal mein badalta hai nazara sara

Navin Joshi

ek hi pal mein badalta hai nazara sara

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    ek pal meñ badaltā hai nazāra saarā

    aur is pal ke liye baaqī tamāshā saarā

    zindagī ne na kisī imtihāñ ko dohrāyā

    tajraba kaam aayā nahīñ apnā saarā

    dhuup meñ jalnā hai us ko jo shajar ban ke jiye

    us ke saa.e meñ rahe ḳhush ye zamāna saarā

    us rahmat ḳhazāna vo luTā.e aise

    jis ne māñgā nahīñ jo us ne vo paayā saarā

    baḳhsh mujh ko na adhūrī koī ne.amat maulā

    to dariyā de puurā to sahrā saarā

    maiñ ne bāzār meñ puurā rakhā thā ḳhud ko

    koī aisā na milā jis ne ḳharīdā saarā

    aks sābūt to hai TuuTe hue shīshe meñ magar

    ek TukḌā bhī gañvāyā to gañvāyā saarā

    hotā hai bhiiḌ fitrat se madārī vāqif

    jab talak ḳhatm na ho khel hai majma.a saarā

    itnī vus.at nahīñ dāman meñ 'navā' ke yāroñ

    pyaar kaise vo sameTe kaho itnā saarā

    ek hi pal mein badalta hai nazara sara

    aur is pal ke liye baqi tamasha sara

    zindagi ne na kisi imtihan ko dohraya

    tajraba kaam hi aaya nahin apna sara

    dhup mein jalna hai us ko jo shajar ban ke jiye

    us ke sae mein rahe KHush ye zamana sara

    us ki rahmat ka KHazana wo luTae aise

    jis ne manga nahin jo us ne wo paya sara

    baKHsh mujh ko na adhuri koi neamat maula

    ya to dariya hi de pura ya to sahra sara

    main ne bazar mein pura hi rakha tha KHud ko

    koi aisa na mila jis ne KHarida sara

    aks sabut to hai TuTe hue shishe mein magar

    ek TukDa bhi ganwaya to ganwaya sara

    hota hai bhiD ki fitrat se madari waqif

    jab talak KHatm na ho khel hai majma sara

    itni wusat nahin daman mein 'nawa' ke yaron

    pyar kaise wo sameTe kaho itna sara

    Source :
    • Book : Word File Mail By Salim Saleem
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now