ek hi waqt mein banda bhi KHuda bhi main tha
ek hī vaqt meñ banda bhī ḳhudā bhī maiñ thā
so diyā bhī maiñ mire dost havā bhī maiñ thā
mere hāthoñ kī lakīreñ to bahut chhoTī thiiñ
aur sitam ye ki gharāne kā baḌā bhī maiñ thā
maiñ jise DhūñD rahā thā vo koī hai hī nahīñ
phir ye dhokā hai agar mere sivā bhī maiñ thā
hādisa qāfile meñ ye bhī mire saath huā
sab se kam thā mirā sāmān luTā bhī maiñ thā
mere aañsū hī gavāhī meñ bache haiñ sāhib
terī badlī huī āñkhoñ ko jachā bhī maiñ thā
ek hi waqt mein banda bhi KHuda bhi main tha
so diya bhi main mere dost hawa bhi main tha
mere hathon ki lakiren to bahut chhoTi thin
aur sitam ye ki gharane ka baDa bhi main tha
main jise DhunD raha tha wo koi hai hi nahin
phir ye dhoka hai agar mere siwa bhi main tha
hadisa qafile mein ye bhi mere sath hua
sab se kam tha mera saman luTa bhi main tha
mere aansu hi gawahi mein bache hain sahib
teri badli hui aankhon ko jacha bhi main tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.