ek ek lafz mein hai sandalin jazbon ka bahaw
ek ik lafz meñ hai sandalīñ jazboñ kā bahāv
tere lahje meñ hai kis jū-e-ravāñ kā Thahrāv
phir huī shaam kare dil kī tavāzo' kā ḳhayāl
koī bhūlā huā manzar koī ristā huā ghaav
koī patthar kisī kūche meñ na rahne paa.e
aaj karnā hai kisī shīsh-mahal par pathrāv
maiñ pighal jā.ūñ na sāñsoñ kī harārat se kahīñ
paas itne bhī na aao ki akele rah jaao
chilchilātī huī ye dhuup ye sunsān Dagar
ab jo nikle ho safar ko to zarā lutf uThāo
sauñp jaa.e na kahīñ raakh kā tohfa ye bhī
dil meñ ab tak jo sulagtā hai tire ġham kā alaav
gungunāo ‘qamar-iqbāl' kī ġhazleñ lekin
ik ġhazal us kī use bhī to kisī roz sunāo
ek ek lafz mein hai sandalin jazbon ka bahaw
tere lahje mein hai kis ju-e-rawan ka Thahraw
phir hui sham kare dil ki tawazo' ka KHayal
koi bhula hua manzar koi rista hua ghaw
koi patthar kisi kuche mein na rahne pae
aaj karna hai kisi shish-mahal par pathraw
main pighal jaun na sanson ki hararat se kahin
pas itne bhi na aao ki akele rah jao
chilchilati hui ye dhup ye sunsan Dagar
ab jo nikle ho safar ko to zara lutf uThao
saunp jae na kahin rakh ka tohfa ye bhi
dil mein ab tak jo sulagta hai tere gham ka alaw
gungunao ‘qamar-iqbaal' ki ghazlen lekin
ek ghazal us ki use bhi to kisi roz sunao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.