ek ek pata hawaon se hai laDne wala
ek ik patā havāoñ se hai laḌne vaalā
peḌ us kā nahīñ āñdhī se ukhaḌne vaalā
raah chalte hue uñglī bhī kisī kī na pakaḌ
bhiiḌ meñ hotā hai har shaḳhs bichhaḌne vaalā
ik humakte hue bachche kī tarah zid na kar
ḳhushnumā jism khilaunā hai bigaḌne vaalā
ḳhatm mahloñ kī ravā-dārī kā dastūr huā
ab yahāñ kaun hai dīvār meñ gaḌhne vaalā
zindagī shahar basāne meñ hai masrūf 'ājiz'
gaañv tūfān kī zad meñ hai ujaḌne vaalā
ek ek pata hawaon se hai laDne wala
peD us ka nahin aandhi se ukhaDne wala
rah chalte hue ungli bhi kisi ki na pakaD
bhiD mein hota hai har shaKHs bichhaDne wala
ek humakte hue bachche ki tarah zid na kar
KHushnuma jism khilauna hai bigaDne wala
KHatm mahlon ki rawa-dari ka dastur hua
ab yahan kaun hai diwar mein gaDhne wala
zindagi shahar basane mein hai masruf 'ajiz'
ganw tufan ki zad mein hai ujaDne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.