ek ek sans mein sadiyon ka safar kaTte hain
ek ik saañs meñ sadiyoñ kā safar kāTte haiñ
ḳhauf ke shahr meñ rahte haiñ so Dar kāTte haiñ
pahle bhar lete haiñ kuchh rañg tumhāre us meñ
aur phir ham usī tasvīr kā sar kāTte haiñ
ḳhvāb muTThī meñ liye phirte haiñ sahrā sahrā
ham vahī log haiñ jo dhuup ke par kāTte haiñ
sauñp kar us ko tire dard ke saare mausam
phir usī lamhe ko ham zindagī-bhar kāTte haiñ
tū nahīñ hai to tire shahr kī tasvīr meñ ham
saare vīrāne banā dete haiñ ghar kāTte haiñ
us kī yādoñ ke parindoñ ko uḌā kar 'az.har'
dil se ab dard kā ik ek shajar kāTte haiñ
ek ek sans mein sadiyon ka safar kaTte hain
KHauf ke shahr mein rahte hain so Dar kaTte hain
pahle bhar lete hain kuchh rang tumhaare us mein
aur phir hum usi taswir ka sar kaTte hain
KHwab muTThi mein liye phirte hain sahra sahra
hum wahi log hain jo dhup ke par kaTte hain
saunp kar us ko tere dard ke sare mausam
phir usi lamhe ko hum zindagi-bhar kaTte hain
tu nahin hai to tere shahr ki taswir mein hum
sare virane bana dete hain ghar kaTte hain
us ki yaadon ke parindon ko uDa kar 'azhar'
dil se ab dard ka ek ek shajar kaTte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.