ek ek sher sunaya use tafsir ke sath
ek ik sher sunāyā use tafsīr ke saath
kal bahut baat huī thī tirī tasvīr ke saath
muddatoñ baad jo aaya hai mire ḳhat kā javāb
us ne bhejā hai mujhe phuul bhī tahrīr ke saath
ek hī ishq kiyā aur kiyā aisā ishq
jaise 'ġhālib' ne kiyā mīr-taqī-'mīr' ke saath
itnā ḳhāmosh mire dil kā makāñ hai mat pūchh
guftugū kartī hai tasvīr bhī tasvīr ke saath
is qadar nek gunahgār mirā dost 'arīb'
jis ko jannat bhī mayassar huī zanjīr ke saath
ek ek sher sunaya use tafsir ke sath
kal bahut baat hui thi teri taswir ke sath
muddaton baad jo aaya hai mere KHat ka jawab
us ne bheja hai mujhe phul bhi tahrir ke sath
ek hi ishq kiya aur kiya aisa ishq
jaise 'ghaalib' ne kiya mir-taqi-'mir' ke sath
itna KHamosh mere dil ka makan hai mat puchh
guftugu karti hai taswir bhi taswir ke sath
is qadar nek gunahgar mera dost 'arib'
jis ko jannat bhi mayassar hui zanjir ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.