ek jadu sa kar gaya koi
ek jaadū sā kar gayā koī
dil ke andar utar gayā koī
maiñ ḳhamoshī se dekhtā hī rahā
sāmne se guzar gayā koī
dil ke āñgan meñ yaad bikhrā ke
ashk āñkhoñ meñ bhar gayā koī
aa.ina sāmne jo aayā tab
maiñ ne dekhā ki Dar gayā koī
merī hasrat liye hue dil meñ
chupke chupke sañvar gayā koī
ek jadu sa kar gaya koi
dil ke andar utar gaya koi
main KHamoshi se dekhta hi raha
samne se guzar gaya koi
dil ke aangan mein yaad bikhra ke
ashk aankhon mein bhar gaya koi
aaina samne jo aaya tab
main ne dekha ki Dar gaya koi
meri hasrat liye hue dil mein
chupke chupke sanwar gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.