ek jaanib to teri zulf khuli jati hai
ek jānib to terī zulf khulī jaatī hai
dūsrī samt merī aql uḌī jaatī hai
aisā lagtā hai mirī jaan nikal jā.egī
ruuTh kar mujh se tū jis vaqt chalī jaatī hai
rab ne maḳhlūq banā.ī thī jo sab se behtar
haa.e aapas meñ vo laḌ laḌ ke marī jaatī hai
aap ne jhelā hai logoñ kā bahishkār faqat
sach ke kahne pe to gardan bhī chalī jaatī hai
aap ziddī haiñ magar dil ke bahut haiñ achchhe
baat jo kahne kī hai vo to kahī jaatī hai
ek jaanib to teri zulf khuli jati hai
dusri samt meri aql uDi jati hai
aisa lagta hai meri jaan nikal jaegi
ruTh kar mujh se tu jis waqt chali jati hai
rab ne maKHluq banai thi jo sab se behtar
hae aapas mein wo laD laD ke mari jati hai
aap ne jhela hai logon ka bahishkar faqat
sach ke kahne pe to gardan bhi chali jati hai
aap ziddi hain magar dil ke bahut hain achchhe
baat jo kahne ki hai wo to kahi jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.