ek jhonka yaad ka mujhko uDa kar le gaya
ek jhoñkā yaad kā mujh ko uḌā kar le gayā
rañg chehre ke sabhī jaise churā kar le gayā
ye tasavvur hai tirā jaise koī māñjhī sanam
haath thāmā shahr tere ye biThā kar le gayā
maiñ kisī TuuTe hue se phuul kī ḳhushbū jise
koī āshiq us kī copy meñ chhupā kar le gayā
faḳhr ke aañsū the us din maañ kī āñkhoñ meñ mirī
jab maiñ us ke paas us din kuchh kamā kar le gayā
log rishtoñ ko nibhāte haiñ kuchh aise āj-kal
Daal se phal jab kabhī chāhā jhukā kar le gayā
ek jhonka yaad ka mujh ko uDa kar le gaya
rang chehre ke sabhi jaise chura kar le gaya
ye tasawwur hai tera jaise koi manjhi sanam
hath thama shahr tere ye biTha kar le gaya
main kisi TuTe hue se phul ki KHushbu jise
koi aashiq us ki copy mein chhupa kar le gaya
faKHr ke aansu the us din man ki aankhon mein meri
jab main us ke pas us din kuchh kama kar le gaya
log rishton ko nibhate hain kuchh aise aaj-kal
Dal se phal jab kabhi chaha jhuka kar le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.