ek jhonke ke muntazir hain hum
ek jhoñke ke muntazir haiñ ham
barg-e-āḳhir sar-e-shajar haiñ ham
sirf nā-qadrī-e-zamāna haiñ
sang-rezoñ meñ gum guhar haiñ ham
hāfiza bhī jise bhulā baiThā
us ga.e daur kī ḳhabar haiñ ham
paḌh lo kuchh naqsh haiñ abhī baaqī
sun lo phir qissa muḳhtasar haiñ ham
haa.e phir iltifāt der-āyad
vaa.e phir fikr-o-ġham kidhar haiñ ham
fard-e-isyāñ se hai kise inkār
banda-parvar karam bashar haiñ ham
mahshar-e-dār-o-gīr meñ tanhā
vo kaheñ kaash aa idhar haiñ ham
ek jhonke ke muntazir hain hum
barg-e-aKHir sar-e-shajar hain hum
sirf na-qadri-e-zamana hain
sang-rezon mein gum guhar hain hum
hafiza bhi jise bhula baiTha
us gae daur ki KHabar hain hum
paDh lo kuchh naqsh hain abhi baqi
sun lo phir qissa muKHtasar hain hum
hae phir iltifat der-ayad
wae phir fikr-o-gham kidhar hain hum
fard-e-isyan se hai kise inkar
banda-parwar karam bashar hain hum
mahshar-e-dar-o-gir mein tanha
wo kahen kash aa idhar hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.