ek jhonke se bikhar jaunga mera kya hai
ek jhoñke se bikhar jā.uñgā merā kyā hai
ḳhushk patte kā harī Daal pe honā kyā hai
is havāle ke sivā merā havāla kyā hai
maiñ tirā 'aks huuñ mujh meñ mirā apnā kyā hai
kyoñ lakīroñ se gurezāñ hai unhī kā ho kar
dar-o-dīvār se insān kā rishta kyā hai
samt-dar-samt bhaTaknā hai muqaddar merā
ek jhoñkā hī to huuñ merā Thikāna kyā hai
kaun pahchānegā is shahr-e-nigārāñ meñ mujhe
dhuup kā ruup jahāñ ho vahāñ saaya kyā hai
dil ke mausam se 'ibārat hai ye duniyā varna
aa.ina kyā hai nazar kyā hai nazāra kyā hai
kitnā mauhūm sā be-nām sā be-masraf sā
sab zamānoñ kī ḳhabar rakhtā hai lamha kyā hai
merī manzil haiñ bahar-gām sarakte āfāq
itnā dilchasp safar ho to Thaharnā kyā hai
har ta'alluq kī jabīñ par nazar aatī hai shikan
apnā begāna hai kyā milnā bichhaḌnā kyā hai
ab vo rotā bhī nahīñ aur na hañstā hai kabhī
jaane us shaḳhs ne is shahr meñ dekhā kyā hai
aur 'ālam bhī haiñ kyā fikr se merī haT kar
maiñ huuñ kyā chiiz mirī fikr kī duniyā kyā hai
dhuup se laḌtā hai rakhtā hai havāoñ se ḳhulūs
apne saa.e ko ḳhudā kahtā hai 'tanhā' kyā hai
ek jhonke se bikhar jaunga mera kya hai
KHushk patte ka hari Dal pe hona kya hai
is hawale ke siwa mera hawala kya hai
main tera 'aks hun mujh mein mera apna kya hai
kyon lakiron se gurezan hai unhi ka ho kar
dar-o-diwar se insan ka rishta kya hai
samt-dar-samt bhaTakna hai muqaddar mera
ek jhonka hi to hun mera Thikana kya hai
kaun pahchanega is shahr-e-nigaran mein mujhe
dhup ka rup jahan ho wahan saya kya hai
dil ke mausam se 'ibarat hai ye duniya warna
aaina kya hai nazar kya hai nazara kya hai
kitna mauhum sa be-nam sa be-masraf sa
sab zamanon ki KHabar rakhta hai lamha kya hai
meri manzil hain bahar-gam sarakte aafaq
itna dilchasp safar ho to Thaharna kya hai
har ta'alluq ki jabin par nazar aati hai shikan
apna begana hai kya milna bichhaDna kya hai
ab wo rota bhi nahin aur na hansta hai kabhi
jaane us shaKHs ne is shahr mein dekha kya hai
aur 'alam bhi hain kya fikr se meri haT kar
main hun kya chiz meri fikr ki duniya kya hai
dhup se laDta hai rakhta hai hawaon se KHulus
apne sae ko KHuda kahta hai 'tanha' kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.