ek kaif-e-sarmadi se khelta rahta rahun main
ek kaif-e-sarmadī se kheltā rahtā rahūñ maiñ
bandagī meñ bandagī se kheltā rahtā huuñ maiñ
raat din zinda-dilī se kheltā rahtā huuñ maiñ
ranj-o-ġham meñ bhī ḳhushī se kheltā rahtā huuñ maiñ
āj-kal aḳhtar-shumāroñ meñ hai merā bhī shumār
raat meñ bhī raushnī se kheltā rahtā huuñ maiñ
maut meñ hī zindagī hai misl-e-parvāna mirī
sham.a kī tābindagī se kheltā rahtā huuñ maiñ
tauq-e-gardan se milā zauq-e-girāñbārī mujhe
lekin is mehnat-kashī se kheltā rahtā huuñ maiñ
banda-e-mazdūr kī izzat bachāne ke liye
izz-o-jāh-e-qaisarī se kheltā rahtā huuñ maiñ
bār-e-ḳhātir ban ga.ī go yār-e-shātir kī bisāt
lekin us par sādgī se kheltā rahtā huuñ maiñ
allah-allah merā shauq-e-jazb-e-kāmil dekhnā
fikr-e-vahdat meñ doī se kheltā rahtā huuñ maiñ
vo mire aivān-e-ġham meñ zīnat-e-guldasta hai
phuul kī afsurdagī se kheltā rahtā huuñ maiñ
vo ye kahte haiñ ki fursat meñ bahal jaatā hai dil
apne ‘ahsan-kāzmī' se kheltā rahtā huuñ maiñ
ek kaif-e-sarmadi se khelta rahta rahun main
bandagi mein bandagi se khelta rahta hun main
raat din zinda-dili se khelta rahta hun main
ranj-o-gham mein bhi KHushi se khelta rahta hun main
aaj-kal aKHtar-shumaron mein hai mera bhi shumar
raat mein bhi raushni se khelta rahta hun main
maut mein hi zindagi hai misl-e-parwana meri
shama ki tabindagi se khelta rahta hun main
tauq-e-gardan se mila zauq-e-giranbari mujhe
lekin is mehnat-kashi se khelta rahta hun main
banda-e-mazdur ki izzat bachane ke liye
izz-o-jah-e-qaisari se khelta rahta hun main
bar-e-KHatir ban gai go yar-e-shatir ki bisat
lekin us par sadgi se khelta rahta hun main
allah-allah mera shauq-e-jazb-e-kaamil dekhna
fikr-e-wahdat mein doi se khelta rahta hun main
wo mere aiwan-e-gham mein zinat-e-guldasta hai
phul ki afsurdagi se khelta rahta hun main
wo ye kahte hain ki fursat mein bahal jata hai dil
apne ‘ahsan-kazmi' se khelta rahta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.