ek kankar gira fikr ki jhil mein aur fan ke ubharne lage daere
ek kankar gira fikr ki jhil mein aur fan ke ubharne lage daere
Salaam Najmi
MORE BYSalaam Najmi
ek kankar girā fikr kī jhiil meñ aur fan ke ubharne lage dā.ere
vajd meñ aa ga.e āgahī ke kañval phir machalne thirakne lage dā.ere
dil kī gahrā.iyoñ se talātum uThā lamha lamha ye paiham umaḌtā chalā
phir na vijdān par apne qaabū rahā zamzamoñ ke ubalne lage dā.ere
zamzame the ki thā ye sahar sāmrī naġhmagī thī ki thī krishn kī bāñsurī
lai pe jis ke koī rādhā khiñchtī chalī fāsloñ ke simaTne lage dā.ere
un kī vāraftagī qābil-e-dīd thī goyā sadiyoñ kī thī pyaar kī tishnagī
aur baḌhne lagī aur baḌhtī ga.ī jūñ-hī bāñhoñ ke kasne lage dā.ere
sub.h-gāhī se pur-nūr thiiñ vādiyāñ guuñj uThīñ umañgoñ kī shahnā.iyāñ
janm lene lagī ik na.ī dāstāñ aur 'najmī' sulajhne lage dā.ere
ek kankar gira fikr ki jhil mein aur fan ke ubharne lage daere
wajd mein aa gae aagahi ke kanwal phir machalne thirakne lage daere
dil ki gahraiyon se talatum uTha lamha lamha ye paiham umaDta chala
phir na wijdan par apne qabu raha zamzamon ke ubalne lage daere
zamzame the ki tha ye sahar samri naghmagi thi ki thi krishn ki bansuri
lai pe jis ke koi radha khinchti chali faslon ke simaTne lage daere
un ki waraftagi qabil-e-did thi goya sadiyon ki thi pyar ki tishnagi
aur baDhne lagi aur baDhti gai jun-hi banhon ke kasne lage daere
subh-gahi se pur-nur thin wadiyan gunj uThin umangon ki shahnaiyan
janm lene lagi ek nai dastan aur 'najmi' sulajhne lage daere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.