ek KHamosh sada ho jaun
ek ḳhāmosh sadā ho jā.ūñ
sab ke dil kī maiñ duā ho jā.ūñ
koī jugnū na sitāra mujh meñ
phir bhī chāhūñ ki ziyā ho jā.ūñ
pahle dekhūñ maiñ tujhe hairat se
aur phir terī adā ho jā.ūñ
mujh pe nāzil ho kabhī vo lamha
lafz ban kar maiñ adā ho jā.ūñ
tere milne kī tamanna kaisī
ek din terī qabā ho jā.ūñ
aaj takmīl mirī lāzim hai
kal ḳhudā jaane maiñ kyā ho jā.ūñ
ek KHamosh sada ho jaun
sab ke dil ki main dua ho jaun
koi jugnu na sitara mujh mein
phir bhi chahun ki ziya ho jaun
pahle dekhun main tujhe hairat se
aur phir teri ada ho jaun
mujh pe nazil ho kabhi wo lamha
lafz ban kar main ada ho jaun
tere milne ki tamanna kaisi
ek din teri qaba ho jaun
aaj takmil meri lazim hai
kal KHuda jaane main kya ho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.