ek KHamoshi ne sada pai
ek ḳhāmoshī ne sadā paa.ī
Dhaa.ī harfoñ meñ phir vo haklā.ī
chaar dīvār chand chhipkiliyāñ
hijr kī raat ke tamāshā.ī
Dūbne kā use malāl nahīñ
jis ne dekhī nadī kī ra.anā.ī
āḳhirī train thī tirī jānib
jo ġhalat platform par aa.ī
bārishoñ ne hameñ udaas kiyā
seel dīvār meñ utar aa.ī
ek KHamoshi ne sada pai
Dhai harfon mein phir wo haklai
chaar diwar chand chhipkiliyan
hijr ki raat ke tamashai
Dubne ka use malal nahin
jis ne dekhi nadi ki ranai
aaKHiri train thi teri jaanib
jo ghalat platform par aai
barishon ne hamein udas kiya
seel diwar mein utar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.