ek kitab sirhane rakh di ek charagh sitara kiya
ek kitāb sirhāne rakh dī ek charāġh sitārā kiyā
mālik is tanhā.ī meñ tū ne kitnā ḳhayāl hamārā kiyā
ye to bas ik koshish sī thī pahle pyaar meñ rahne kī
sach pūchho to ham logoñ meñ kis ne ishq dobāra kiyā
chand adhūre kāmoñ ne kuchh vaqt girafta logoñ ne
din purze purze kar Daalā raat ko paara paara kiyā
dil ko ik sūrat bhaa.ī thī is amboh meñ par ham ne
jaane is afrā-tafrī meñ kis kī samt ishāra kiyā
sar par taaj kī sūrat dhar dī us ne īñdhan kī gaThrī
ishq ne kaise ḳhush-qismat ko shaah se lakaḌhārā kiyā
sardī kī aamad thī lekin sāvan kī rut lauT aa.ī
bujhte bujhte ik vahshat meñ aañkh ne rañj dobāra kiyā
ek kitab sirhane rakh di ek charagh sitara kiya
malik is tanhai mein tu ne kitna KHayal hamara kiya
ye to bas ek koshish si thi pahle pyar mein rahne ki
sach puchho to hum logon mein kis ne ishq dobara kiya
chand adhure kaamon ne kuchh waqt girafta logon ne
din purze purze kar Dala raat ko para para kiya
dil ko ek surat bhai thi is amboh mein par hum ne
jaane is afra-tafri mein kis ki samt ishaara kiya
sar par taj ki surat dhar di us ne indhan ki gaThri
ishq ne kaise KHush-qismat ko shah se lakaDhaara kiya
sardi ki aamad thi lekin sawan ki rut lauT aai
bujhte bujhte ek wahshat mein aankh ne ranj dobara kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.