ek lahraati hui naddi ka sahil hua main
ek lahrātī huī naddī kā sāhil huā maiñ
phir huā ye ki har ik lahr se ghā.il huā maiñ
ab banāte haiñ mire dost nishāna mujh ko
tujh ko paane kī talab meñ kisī qābil huā maiñ
dil meñ is raaz ko tā-'umr chhupā kar rakkhā
kis kī chāhat meñ thā shāmil kise hāsil huā maiñ
aa gayā ishq kā mafhūm samajh meñ us kī
us ke ḳhvāboñ meñ kisī roz jo dāḳhil huā maiñ
tū suḳhan-var hai to mujh ko bhī ye hāsil hai sharaf
lafz ban kar tire dīvān meñ shāmil huā maiñ
ek muddat se samajhne meñ lagā huuñ ḳhud ko
yā'nī ab apne liye bhī baḌā mushkil huā maiñ
ek lahraati hui naddi ka sahil hua main
phir hua ye ki har ek lahr se ghail hua main
ab banate hain mere dost nishana mujh ko
tujh ko pane ki talab mein kisi qabil hua main
dil mein is raaz ko ta-'umr chhupa kar rakkha
kis ki chahat mein tha shamil kise hasil hua main
aa gaya ishq ka mafhum samajh mein us ki
us ke KHwabon mein kisi roz jo daKHil hua main
tu suKHan-war hai to mujh ko bhi ye hasil hai sharaf
lafz ban kar tere diwan mein shamil hua main
ek muddat se samajhne mein laga hun KHud ko
ya'ni ab apne liye bhi baDa mushkil hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.