ek lamha abhi tak jo guzra na tha
ek lamha abhī tak jo guzrā na thā
hādisa koī andhī Dagar kā na thā
sar meñ shāyad jhanā-jhan jhanan un kī thī
jin gunāhoñ kā ab tak irāda na thā
kho ga.ī thī kahīñ muTThiyoñ kī havā
ham ne anjām shāyad ye sochā na thā
nā-rasā.ī bhī kab thī yahāñ darmiyāñ
mausamoñ ko abhī us ne parkhā na thā
thī usī ik irāde kī aahaT abhī
abr ban kar abhī tak jo barsā na thā
kāmrāñ sā.atoñ kī liye thā phaban
shoḳh nashsha takānoñ kā utrā na thā
vo savāboñ ko shāyad nahīñ chun sakā
ek lamha badan-bhar jo machlā na thā
aaj palkoñ pe sayyāl yādeñ na thiiñ
rang ḳhvāboñ kā bhī kuchh sunahrā na thā
rā.egāñ se sabhī aaj imkān the
ab duā ke liye haath uThtā na thā
zehn kī vo farāmoshiyāñ al-amāñ
aaj jin kā zabānoñ pe charchā na thā
ek lamha abhi tak jo guzra na tha
hadisa koi andhi Dagar ka na tha
sar mein shayad jhana-jhan jhanan un ki thi
jin gunahon ka ab tak irada na tha
kho gai thi kahin muTThiyon ki hawa
hum ne anjam shayad ye socha na tha
na-rasai bhi kab thi yahan darmiyan
mausamon ko abhi us ne parkha na tha
thi usi ek irade ki aahaT abhi
abr ban kar abhi tak jo barsa na tha
kaamran saaton ki liye tha phaban
shoKH nashsha takanon ka utra na tha
wo sawabon ko shayad nahin chun saka
ek lamha badan-bhar jo machla na tha
aaj palkon pe sayyal yaaden na thin
rang KHwabon ka bhi kuchh sunahra na tha
raegan se sabhi aaj imkan the
ab dua ke liye hath uThta na tha
zehn ki wo faramoshiyan al-aman
aaj jin ka zabanon pe charcha na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.