ek mahaul achhuta chahun
ek māhaul achhūtā chāhūñ
sahn ke naam pe sahrā chāhūñ
kā.enāteñ mire ḳhvāboñ kī asiir
aur qudrat se maiñ kitnā chāhūñ
tarbiyat merī zamīñ ne kī hai
meñ ḳhalāoñ meñ lapaknā chāhūñ
jitne tārīk gharauñde haiñ vahāñ
dil kī qindīl jalānā chāhūñ
baḳhshavāne ko gunāh-e-ādam
phir se firdaus meñ jaanā chāhūñ
dozaḳh insān pe ho jaa.e harām
rab se ye vā'da-e-fardā chāhūñ
ḳhushk patte na shajar se chhīne
bas ye ehsān havā kā chāhūñ
merī zid kaun karegā puurī
shaam ko sub.h kā taarā chāhūñ
mirā har kaam alag duniyā se
jis ko chāhūñ use tanhā chāhūñ
hijr kī kitnī tamāzat hai 'nadīm'
ab kisī yaad kā saayā chāhūñ
ek mahaul achhuta chahun
sahn ke nam pe sahra chahun
kaenaten mere KHwabon ki asir
aur qudrat se main kitna chahun
tarbiyat meri zamin ne ki hai
mein KHalaon mein lapakna chahun
jitne tarik gharaunde hain wahan
dil ki qindil jalana chahun
baKHshawane ko gunah-e-adam
phir se firdaus mein jaana chahun
dozaKH insan pe ho jae haram
rab se ye wa'da-e-farda chahun
KHushk patte na shajar se chhine
bas ye ehsan hawa ka chahun
meri zid kaun karega puri
sham ko subh ka tara chahun
mera har kaam alag duniya se
jis ko chahun use tanha chahun
hijr ki kitni tamazat hai 'nadim'
ab kisi yaad ka saya chahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.