ek mafruza taqaddus KHud pe tari kar raha hun
ek mafrūza taqaddus ḳhud pe taarī kar rahā huuñ
koh-e-isyāñ se bahishtī nahr jaarī kar rahā huuñ
chāhtā huuñ arsh-o-kursī tak pahuñchnā rafta rafta
asfalenī ḳhvāhishoñ par yuuñ savārī kar rahā huuñ
munhamik hai pairahan shaġhlī meñ kyuuñ chashm-e-taḳhayyul
maiñ abhī uryāñ badan par dast-kārī kar rahā huuñ
nafs-e-taskīnī pe us ne sau taqāze rakh diye haiñ
maiñ jo har lazzat pe fikr-e-hamd-e-bārī kar rahā huuñ
sar-nigūñ guzrā hai shāyad ab ke talvāroñ kā mausam
be-irāda shahr kī mardum-shumārī kar rahā huuñ
ek mafruza taqaddus KHud pe tari kar raha hun
koh-e-isyan se bahishti nahr jari kar raha hun
chahta hun arsh-o-kursi tak pahunchna rafta rafta
asfaleni KHwahishon par yun sawari kar raha hun
munhamik hai pairahan shaghli mein kyun chashm-e-taKHayyul
main abhi uryan badan par dast-kari kar raha hun
nafs-e-taskini pe us ne sau taqaze rakh diye hain
main jo har lazzat pe fikr-e-hamd-e-bari kar raha hun
sar-nigun guzra hai shayad ab ke talwaron ka mausam
be-irada shahr ki mardum-shumari kar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.