ek mahal tha raja ka ek raj-kumari hoti thi
ek mahal thā raaja kā ik rāj-kumārī hotī thī
us raaja ko apnī parjā jaan se pyārī hotī thī
baabā kahte ye jo khañDar hai sītā-rām kā mandir thā
us mandir kī ek pujāran rām-dulārī hotī thī
pushpā aur rādhā bhī donoñ merī bahneñ hotī thiiñ
mañgal-dās aur merī beTā gahrī yaarī hotī thī
ek diye kī lau meñ baabā 'mīr' aur 'ġhālib' paḌhte the
ek añgeThī hotī thī aur ik almārī hotī thī
shaam Dhale ik lawn meñ saare baiTh ke chaa.e piite the
mez hamārā ghar kā thā kursī sarkārī hotī thī
ek kuaañ mīThe paanī kā aur ik būḌhā bargad thā
ek mohabbat kā gahvāra bastī saarī hotī thī
mīThe gītoñ kī vo risnā mīThī dhun aur mīThe bol
pūran-māshī par āñgan meñ shab-bedārī hotī thī
ab jo mullā vaa.iz kare to ḳhauf sā aane lagtā hai
mohan-dās se na.ateñ sun kar riqqat taarī hotī thī
rishtoñ kā ehsās lahū ke andar rachtā-bastā thā
kab aisī nafsā-nafsī aur mārā-mārī hotī thī
ek mahal tha raja ka ek raj-kumari hoti thi
us raja ko apni parja jaan se pyari hoti thi
baba kahte ye jo khanDar hai sita-ram ka mandir tha
us mandir ki ek pujaran ram-dulari hoti thi
pushpa aur radha bhi donon meri bahnen hoti thin
mangal-das aur meri beTa gahri yari hoti thi
ek diye ki lau mein baba 'mir' aur 'ghaalib' paDhte the
ek angeThi hoti thi aur ek almari hoti thi
sham Dhale ek lawn mein sare baiTh ke chae pite the
mez hamara ghar ka tha kursi sarkari hoti thi
ek kuan miThe pani ka aur ek buDha bargad tha
ek mohabbat ka gahwara basti sari hoti thi
miThe giton ki wo risna miThi dhun aur miThe bol
puran-mashi par aangan mein shab-bedari hoti thi
ab jo mulla waiz kare to KHauf sa aane lagta hai
mohan-das se naten sun kar riqqat tari hoti thi
rishton ka ehsas lahu ke andar rachta-basta tha
kab aisi nafsa-nafsi aur mara-mari hoti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.