ek main hun aur lakh masail KHuda gawah
ek maiñ huuñ aur laakh masā.il ḳhudā gavāh
dast-e-talab hai kāsa-e-sā.il ḳhudā gavāh
āñkheñ khulīñ to aur hī manzar thā rū-ba-rū
ḳhud maiñ thā apnī raah meñ haa.il ḳhudā gavāh
ye kā.enāt raqs meñ hai ik mire liye
pahne hue nujūm kī paa.el ḳhudā gavāh
dil meñ mohabbateñ haiñ to ā.ankhoñ meñ hairateñ
mere faqat yahī haiñ vasā.el ḳhudā gavāh
munsif tirī taraf sahī par ḳhūn-e-be-gunāh
degā tire ḳhilāf dalā.el ḳhudā gavāh
din-rāt ik junūn-e-talāsh-e-ma.āsh hai
ab koī munharif hai na qaa.il ḳhudā gavāh
ek main hun aur lakh masail KHuda gawah
dast-e-talab hai kasa-e-sail KHuda gawah
aankhen khulin to aur hi manzar tha ru-ba-ru
KHud main tha apni rah mein hail KHuda gawah
ye kaenat raqs mein hai ek mere liye
pahne hue nujum ki pael KHuda gawah
dil mein mohabbaten hain to aaankhon mein hairaten
mere faqat yahi hain wasael KHuda gawah
munsif teri taraf sahi par KHun-e-be-gunah
dega tere KHilaf dalael KHuda gawah
din-raat ek junun-e-talash-e-maash hai
ab koi munharif hai na qail KHuda gawah
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 603)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.